Sunday, June 26, 2011

TERI KHUSHI KE LIYE


Tere Pyaar Ko Paane K Khatir,
Hum Har Had Se Guzar Jayege,
Tujhe Paane K Kosis Me Shayad,
Apna Sab Kch Hum Kho Jayege,
Todte Raho Dil Tum Kaanch Ki Tarah,
Hum Tutkar Bhi Sirf Tumhe Chahenge,
Kya Hua Gr Tumhe Pa Na Sake,
Tumhe Paane K Zid Liye Hi Mar Jayenge,
Gr Keh Do Ek Bar Ki Khush Rahoge Humare Bina,
Hum Apki Is Duniya Se Chale Jayenge,
Maut Bhi Mile Apki Khusi Ki Keemat Par,
Apki Kasam Apki Khusi K Liye Mar Jayenge…

SOCHTA HOON MUSKARATE HUYE

Kabhi Aate Huye To Kabhi Jate Huye
Sochta Hoon Muskarate Huye
Zindagi K Ahem Lamho Ko Dil K Kone Me Samete Huye
Taki Aankh Bhar Aaye Kisi Ko Rota Dekh
Sacchi Chahat K Liye Pyaar Krta Hoon Ehsaso K Liye
Unki Bhavnao Se Intezar K Liye Sayad Koi Ho Sanjeev K Liye…

Ek nazar hamari

Ek nazar hamari ek nazar tumhari, 
           Nazar ne Dil ki nazar utari, 
Nazar ne dekha nazar ko aise ki, 
           Kabhi nazar na lage Mahobbat ko hamari.

UNHE BHULA NA SAKE

Jab Khusi Mili To Muskura Na Sake
Gam Mile To Aansu Baha Na Sake
Koshish To Bahut Ki Haal-E-Dil Batane Ki
Bus Do Lafz Hi Juban Par Hum La Na Sake
Socha Chup Rehkar Bhi Hum Bahut Kuch Keh Dege
Par Khamoshiyon Ki Juban Bhi Hum Suna Na Sake
Nazare Milayi To Wo Ruth Gaye Fir
Nazare Jhukakar Bhi Unhe Hum Mana Na Sake
Ruswa Wo Huye Ya Hum Pata Nahi
Hum Unke Wo Hamare Samne Fir Kabhi Aa Na Sake
Aur Kya Kahe Unhe Chaha Par Pa Na Sake
Aur Itna Chaha Ki Chahkar Bhi Aaj Tak Unhe Bhula Na Sake…

Dard ki khuli kitab !


Khusiyo se naraj hai meri zindgi,
Payar ka mohtaj hai meri zindgi,
Has lete hai duniya ko dikhane ke liye,
warna dard ki ek khuli kitab hai meri zindgi.

Kya karen is duniya walon ka...


Apne hisse ki zindagi to hum kabke jee chuke...
Ab to sirf dhadkanon ka lihaj karte hain...
Kya karen is duniya walon ka...
Jo aakhari dhadkano pe bhi aitaraz karte hain...!!

Wednesday, June 15, 2011

Tere Bagair

Tere Bagair Yeh Dil Mera Kahi Na Lage,
Tujko Tujse Churalu Agar Bura Na Lage.
Agar Tum Par Marna Hai Toh Is Tarah Maru,
Dil Ko Kya Dhadkan Ko Bhi Pata Na Lage.

Karenge Tumse Hum Wafa

Karenge Tumse Hum Wafa Har Ghadi,
Kabhi Shikayat Ka Mauka Na Denge.
Hanste-Hanste Guzarenge Zindgi Ka Har Lamha,
Kabhi Ruthne Ka Mauka Na Denge...


Gamo Ki Barsaat Samete Betha Hu,
Kisi Bewfa Se Dhoka Khaye Betha Hu.
Jane Kab Dega Upparwala Maut Mujhe,
Khuda Ke Bharose Aas Lagaye Betha Hu...


Mohbbat K Naam Pe Humse Khela Gya,
Arman Bhare Khwab Saja ke Toda Gya.
Kyu Na Hanse Duniya Sari Hum Pe,
Jabki Dil Ko Mere Khilone Se Behlaya Gaya...

Dil ki tanhayiyon se


Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,
tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te.

Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,
Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte.

Apne dil ke raaston ko aise band mat karo,
kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte.

Itna rooth kar kaha jaaoge humse,
Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.

Hamne bewafai nahi ki aapse

Hamne bewafai nahi ki aapse,
Aap yeh keh ke kyon hamein satate hain,
Aapka rishta kisi aur ke saath hai,
Hum yahi to aapko samjhate hain,
Aapke haath pe jiski anguti hai,
Us ka hi aap pe haq hai,
Hamne bewafai nahi ki aapse,
Aap yeh keh ke kyon hamein rulate hain.

Haal-e-dil

Dil ke armano ko aankhon se samjhayein kaise,
Mushkil hai hal-e-dil unhe sunayein kaise.
Unki chahat hai hamein unko ye batayein kaise,
Jamane ki majburiyon se baaj aayein kaise.
Kashti hai beech samandar mein bachayein kaise,
Aandhiyon mein diya ishq ka jalayein kaise.
Sehara me aagaye hain gulshan ki talash mein,
Baharon ko tere ghar ka pata batayein kaise.
Hum tanha nahi deewano ke sahar mein aadin,
Zakhm kitne mile hain kisi ko dikhayein kaise

Mohhbat ke naam

Pee hai sharab har gali har dukan se,
Ek dosti si ho gai hai sharab ke jaam se,
Guzre hain hum ishq mein kuchh aise mukam se,
Ke nafrat si ho gai hai mohabbat ke naam se.

Bheegi raaton mein

Barsat ki bheegi raaton mein fir koi suhani yaad aayi,
Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke the jisne hamein duniya mein akela chhor diya,
Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi.

Barish

Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.

Tuesday, June 14, 2011

Yaad Rahegaa

Us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa
Vo shahar vo kuchaa vo makaan yaad rahegaa

Vo tes ki ubharii thii idhar yaad rahegii
Vo dard ke utha tha yahan yaad rahegaa

Ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaayenge
Vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaan yaad rahegaa

Kuch miir ke abyaat the kuch faiz ke misare
Ik dard kaa thaa jin men bayaan yaad rahegaa

Jaan bakhsh sii thii us gul-barg kii taraavaat
Vo lams-e-aziiz- e-do-jahaan yaad rahegaa

Ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge
Tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa

Bulaya na gaya

Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya….
Waqt Anane De "SANAM" Bat Karenge,
Zindagi Me Hum Bhi Mulakat Karenge,
Rasta Chahe Jitna Kathin Ho,
Tujhe Pane Ki Hum Koshish Bar-Bar Karenge..
Na jaane sacchi mohbt karne waalo ko,
Unka pyar kyo nhi milta,
Tadapte tadapte jaan nikal jatihai,
Firbi unhe unka deedar kyu nhi milta

Sunday, June 12, 2011

someone

Ek pyari si surat EK masum sa chera,
      do jhil si aankhe kuch meethi meethi bataiy,
EK najuk si ada kuch masti kuch maza,
      thodi sararat or dher sari mohhbat,
EK bholi si muskaan uchha udne ka armaan,
      Sab se alag sab se juda jis ki pyari har ek ada...
                    kahi wo tum to nahi..................




     

Saturday, June 11, 2011

Meri Yaad Aayegi

Aaina dekhoge to meri yaaa aayegi,
Sath gujari wo mulakat yaad aayegi,
Pal bhar ke liye waqt thahar jayega,
Jab apko meri koi bat yaad aayegi...

Har pal muskurana


lajawab hai hamare jeene ka fashna,
koi shikhe humse har pal muskurana,
koi meri hansi ka nazar na lagana,
badi muskil se sikha hai gun chupakar muskurana....:)